Sunday 29 May 2016

Mere Qissy Sar-e-Bazar Uchaly Us Ne...

Mere Qissy Sar-e-Bazar Uchaly Us Ne...

Jis Ka Har Aib Zamany Se Chupaya Main Ne...

Wo bhi bahut akela hai shayad meri tarah

Lahron mein doobte rahe dariya nahin mila
Usse bichhad key phir koi waisa nahim mila

Kuchh log thodi der to achchhe lage magar
Ham jiske ho saken koi aisa nahin mila

Wo bhi bahut akela hai shayad meri tarah
Usko bhi koi chaahne wala nahin mila

Do chaar din to kitne sukun se guzar gaye
Sab khairiyat rahi koi apna nahin mila

Jo Pukarta Tha Har Ghari, Jo Jura Tha Mujh se Lari Lari

Jo Pukarta Tha Har Ghari, Jo Jura Tha Mujh se Lari Lari

Koi Aisa Shakhs Agar Kabhi, Mujhe Bhool Jaye To Kya Krun..

Ek chota gunaah mohabbat ka

Ek chota gunaah mohabbat ka 

Zindgii bharr hisaab leta hai !!!!!


Jo tum ikhlaas chaho to, Farishton se nibah kar lo,

Jo tum ikhlaas chaho to,
Farishton se nibah kar lo,
Main aadam ki nishani hon,
Mujhe insaan rehne do,

Tumhari keh-kashaaon mein,
Meri koi jagah kab thi,
Main ek ujrra jazeera hoon,
Mujhe veeran rehne do,

Jo hota hai wohi karna,
Na badlo rasm dunia ki,
Wo tum thy ya koi apna,
Mujhe hairaan rehne do,

Mera dil yoon shikasta hai,
Koi ujrra sa mandir ho,
Mujhe wehshat hai ronaq se,
Mujhe sunsan rehne do,

Khuda ke kaar-khaany mein,
Bura kuch bhi nahi hota,
Khudara hosh me aao,
Koi imkaan rehne do..

Abhi woh dard baqi hai ...

Abhi woh dard baqi hai ...
Agar'chey waqt marham hai
Magar kuch waqt lagta hai
Kisi ko bhool janay mein
Dobara dil basanay mein
Abhi kuch waqt lagna hai
Abhi woh dard baqi hai ...

Main kaise naii ulfat mein ?
Apni zaat ko gum kar doon
K mere jism o wajdaa'n mein
Abhi woh fard baqi hai ..
Abhi us shaks ki mujh par
nigah e sard baqi hai ..
Abhi to ishq k raston ki mujh par
Gard baqi hai ..
Abhi kuch waqt lagna hai
Abhi woh dard baqi hai ...!!!

Jb bhi dekha koi hasee'n chehra...

Shaam k waqt jaam yaad aaya...  
Kitna dilchasp kaam yaad aaya...   

Jb bhi dekha koi hasee'n chehra...  
Mujhko tera salaam yaad aaya...   

Sun k qisse KHUDA ki azmat k...  
Aadmi ka muqaam yaad aaya...   

Dekh kr jhoomtii ghataao'n ko...  
Unkii zulfo'n ka naam yaad aaya...   

Baansurii ki nava ko tezz karo...  
Aaj Radha ko Shyaam yaad aaya...   

Sehen-e-Masjid me bhi hme MOHSIN...  
Mai-kade ka qayaam yaad aaya...!!

Wo Shakhs Kabhi Eskaa Kabhi Uskaa Kabhi Meraa Huwa

Wo Shakhs Kabhi Eskaa 
Kabhi Uskaa 
Kabhi Meraa Huwa 

Husun barbaad Kar Diya Usne ,
Muhabbat Ke Tijarat Karte Karte 

Bas Charago ko bhojana tha chale Jana tha.

Bas Charago ko bhojana tha chale Jana tha.
Neend me sara zamana tha chale Jana tha.

Phir Kisi helay bahane ki zarorat hi na thi.
Tum ne gar chor k Jana tha chale Jana tha.

Ye hai duniya yahan har morr pr dil totta hai.
Dil k tokro ko Urbana tha chale Jana tha.

Aane wale to yahan lakhon karorro aaye.
Sab ka bas ek fasana tha chale Jana tha.

Apne bad.khaho se larrte nahi A jane gazal.
In se bas picha chorana tha chale Jana tha.

Mohabbato'n pe bht eitmaad kya karna...??

Mohabbato'n pe bht eitmaad kya karna...?? 
Bhula chuke hain use phir se yaad kya karna...??  

Wo be-wafa hi sahi us pe tohmate'n kaisi...?? 
Zara si baat pe itna fasaad kya karna...??   

Mukhalifo'n se to mumkin hai dosti apni...  
Munafiqo'n se mgr ittihaad kya karna...??   

Nigaah me jo utarta hai dil se Q utre...?? 
Dil-o-nigaah me paida tazaad kya karna...??  

Main isliye use ab tkk na chhoo saka MOHSIN...  
Wo aaina hai use sang-zaad kya karna...??

Thursday 26 May 2016

Zara Yaad Kar Mere Hum Nafaz Mera dil jo tum pe nisar tha

Zara Yaad Kar
Mere Humnafas
Mera dil jo tum pe nisar tha.

Wo dara dara sa jo piyar tha
Tere shokh qadmo ki dhool thi
Tera dil bhi beqarar tha
Zara yaad kar
Mere Humnafas.

Tere jaisa mera bhi Haal tha na Sakoon tha na Qarar tha
Yahi umer thi mere hum nasheen keh kisi se mujh ko bhi Pyar tha.

Mein samajh raha hon teri kasak tera mera dard hai mushtarak
Isi gham ka tu bhi aseer hai isi dukh ka mein bhi Shikar tha.

Faqat aik dhun thi k Raat Din isi khawab zaad mein gum rahain
Woh Sarwar aisa Sarwar tha woh Khumar aisa Khumar tha.

Kabhi lamha bhar ki bhi Guftagoo meri is ke sath na ho saki
Mujhe fursatein nahi mil sakein woh hawa k rut pay sawar tha.

Hum ajeeb tarz ke log the k hamare aur bhi rog the
Mein khazan mein is ka tha muntazar ise Intezar Bahar tha.

Ese parh k tum na samajh sake k meri kitab k roop mein
Koi qarz tha kayi saal ka kayi rutjagon ka udhar tha.

Monday 23 May 2016

Hasrat Se Dekhty Rahay Maazi Ko Is Tarah,

Hasrat Se Dekhty Rahay Maazi Ko Is Tarah,

Jaisy k Laot Aiengay Jo Din Guzar Gaye.

Friday 20 May 2016

Ham apni ruh tere jism mein chor aaye hain.

Ham apni ruh tere jism mein chor aaye hain.

Tujhe gale se lagana to aik bahana tha..!

Siyah raat main jalty hain jugno'oon ki tarha

Siyah raat main jalty hain jugno'oon ki tarha

Dillon k zakhm bhi mohsin kamal hotay hain

Har nafas dard k saanche me dhala ho jaise...

Har nafas dard k saanche me dhala ho jaise... 
Zeestt na-karda gunaaho'n ki saza ho jaise... 

Le gyii yun mujhe khwaabo'n k jazeero'n ki taraf... 
Nikhat-e-gul tere aanchal ki hawa ho jaise... 

Zulmat-e-shaam-e-alam mujhse gurezaa'n hai abhii... 
Ek sitaara meri palko'n me chhipa ho jaise... 

Teri zulfe'n bhi pareshaa'n hain mere dil ki tarah... 
Tu bhi kuchh der mere sath raha ho jaise... 

Main tere saaye se bach-bach k chala hun aksar... 
Meri manzil,, teri manzil se juda ho jaise... 

Phool maango to ataa krte hain zakhmo'n k kanwal... 
Ab yehii shewa-e-arbaab-e-wafa ho jaise... 

Chaandnii apne taqaddus pe hai naaza'n itnii... 
Maryam-e-shab ki siyaah-posh ridaa ho jaise... 

Aaj phir unse mulaqaat hui hai MOHSIN... 
Aaj phir dil pe koi zakhm laga ho jaise....!!

Main zamaane ki riwaayat ka numaainda nhii...

Main zamaane ki riwaayat ka numaainda nhii... 
Meri duniya me koi amroz-o-aainda nhii... 

Tu bhi apne jurm ki taazeer pe hairat na kar... 
Main bhi apne ghar ki barbaadii pe sharminda nhii... 

Main to uske dil ki dhadkan ban gaya hun baaraha... 
Wo hareef-e-jaa'n samajhta hai k main zinda nhii... 

Ya hawaa-e-deher me pinhaa hai toofaano ka zor... 
Ya faseel-e-jism k aasaar paainda nhii... 

Aansuo'n ki leher me behta hua motii to hun... 
Kya hua gar aapki soorat me taabinda nhii...?? 

Shukr hai raas aa gaya mujhko qanaa'at ka jahaa'n... 
Shukr hai main Qasr-e-Sultaanii ka kaarinda nhii... 

Yun mere ahbaab milte hain mujhe MOHSIN yahan... 
Jaise main is sheher-e-naa-pursaa'n ka baashinda nhii....!!

Jab se suna hai qabr ma aayein ge Murtaza a.s.

Jab se suna hai qabr ma aayein ge Murtaza a.s.

Mohsin dua hayaat ki krna hi chorr di

Tar hue khoo'n me,, kbhii khaak pehen kr aaye..

Tar hue khoo'n me,, kbhii khaak pehen kr aaye...  
Hm hmesha nayii poshaak pehen kr aaye...  

Ek ajab rang se nikla wo sar-e-raah k log...  
Jism pr deeda-e-bebaak pehen kr aaye...  

Hmne sadiyo'n ki hathelii pe rakhii hain aankhe'n...  
Koi lamha tera idraak pehen kr aaye...  

Saaneha kon sa guzra hai saba se poochho...  
Chandd jhonke khas-o-khashaak pehen kr aaye...  

Zakhm ko zidd thi maseehayii se ab k warna...  
Harff-e-marham kayii chaalaak pehen kr aaye...  

Aaj milna tha use zakhm chhupa kr MOHSIN...  
Hm magar jaama-e-sad-chaak pehen kr aaye...!!

Bohat Udaas Na Ho Shaam-e-Be-Chiraag K Hum !

Bohat Udaas Na Ho Shaam-e-Be-Chiraag K Hum !

Sehar Ki Roshniyan Chasham-e-Tar Main Rakhty Hain..........!!

Ye Or Bat, K Adalat Hai Be-Khabar Warna

Ye Or Bat, K Adalat Hai Be-Khabar Warna 
Tamam Sheher Main Charcha Mere Beyan Ka Hai 

Asar Dikha Na Saka Us K Dil Main Ashk Mera 
Ye Teer Bhi Kisi Tooti Hoi Kaman Ka Hai 

Qafas To Khair Muqadar Main Tha Magar Mohsin 
Hawa Main Shor Abhi Tak Meri Uran Ka Hai��.!!

Maine jab yaad kiya,, yaad wo aaya MOHSIN...

Maine jab yaad kiya,, yaad wo aaya MOHSIN... 

Isse zyada use paband-e-wafa kya karna...?? 

Shaam k waqt jaam yaad aaya...

Shaam k waqt jaam yaad aaya...  
Kitna dilchasp kaam yaad aaya...   

Jb bhi dekha koi hasee'n chehra...  
Mujhko tera salaam yaad aaya...   

Sun k qisse KHUDA ki azmat k...  
Aadmi ka muqaam yaad aaya...   

Dekh kr jhoomtii ghataao'n ko...  
Unkii zulfo'n ka naam yaad aaya...   

Baansurii ki nava ko tezz karo...  
Aaj Radha ko Shyaam yaad aaya...   

Sehen-e-Masjid me bhi hme MOHSIN...  
Mai-kade ka qayaam yaad aaya...!!

Tuesday 17 May 2016

Omg Death defying stunt . i Salute u doctor ayesha.

Omg
Death defying stunt
I watch more than thousand reality shows but
I nvr ever see such a big daring attempt in any reality show... Hatts off to dr ayesha
proud pakistani over the edge

All people should watch this amazing dare
Hats off to this Pakistani girl 
Thumbs up and share

i Salute u doctor ayesha.

best perfarmaec . 

world recored.

Over The Edge

Saturday 14 May 2016

Kaash kay kabhi hum ko woh bhi mil jaye,

Kaash kay kabhi hum ko woh bhi mil jaye,

youn he achanak say kahin chaltay chaltay....

Wednesday 11 May 2016

Ishq hai jaan le k chorray ga..

Apna tawaan le k chorray ga,

Ishq hai jaan le k chorray ga..

Dil ne aaj phir tere deedar ki khawhish rakhi hai.

Dil ne aaj phir tere deedar ki khawhish rakhi hai.

Agar fursat mile tu khawbon main ajana.

Toote Huwe Dil Ki Qasam, Us ko Dil Se Rawana Kar Ke,

Toote Huwe Dil Ki Qasam, Us ko Dil Se Rawana Kar Ke,

Ro Pari Aankh Mein Tinke Ka Bahana Kar K.

Mane Mohabat ke hai tujse itni.

Mane Mohabat ke hai tujse itni.

Ke Heer ne bi na ki hogi apne Ranjy se jitni.

Usko DaiKH letA hon to BHOoK MiT JaTi hai.

Usko DaiKH letA hon to BHOoK MiT JaTi hai.

MeRi AanKHoN Ka RizQ hai Mery Yaar ka CHeHRa.

Na JaneY AB Wo KiYa KaHeY Gii GHar WaalOn Se,

Na JaneY AB Wo KiYa KaHeY Gii GHar WaalOn Se,

Wo Aik PaaYaL JO MeraY Paas BHooL GaYi Hai.

Ek bose ke talabgaar hain ham.

Ek bose ke talabgaar hain ham.

Aur maangein to gunahgaar hain ham.

Tu Ne To Tark-e-Mohabbat Ki Qasam Khai Thi.

Tu Ne To Tark-e-Mohabbat Ki Qasam Khai Thi.

Kiun Teri Aankh Mujhe Dekh Kar Bhar Ai Hai.

Tum Aty Ho Chale Jate Ho.

Tum Aty Ho Chale Jate Ho.

Main Jurti Hun Toot Jati Hun.

Kaash Tu Mujh Ko Muyassar Hi Na Aya Hota.

Kaash Tu Mujh Ko Muyassar Hi Na Aya Hota.

Kaash Main Teri Mohabbat Ka Na Aadi Hota.

Suna Hai Jin Ki Batein Misl-e-Khushbu Phail Jati Hain.

Suna Hai Jin Ki Batein Misl-e-Khushbu Phail Jati Hain.

Bohat Bikhre Hue Hote Hain Aise Log Andar Se.

Mohabbat Phool Jesi Hai.

Mohabbat Phool Jesi Hai.

Yaqeenan Bik Bhi Sakti Hai.

Us Marhaly Ko Mout Bhi Kehte Hain Dosto.

Us Marhaly Ko Mout Bhi Kehte Hain Dosto.

Ek Pal Me Toot Jaen Jahan Umer Bhar K Sath.

Dil ne maani hi nahi meri warna

Dil ne maani hi nahi meri warna 

Main tujhe bhoolne k haq men hun

Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam

Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam

Khizaan Me Tum Ko Khareed Lenge

Bano Ge Hum Se Rehem K Taalib

Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge

Adaa K Qissay Hue Purany

Jafa Ka Mosam Khatam Hi Samjho

Karenge Tum Se Hisaab Jana

Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge

Wafa Ki Lalach Me Hum Ne Jana

Khoon Apna Jala Diya Hai

Faraib-o-Masti K Badlay Tum Ko

Saza Bhi Sun Lo Shadeed Denge

Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam

Khizaan Me Tum Ko Khareed Lenge.

Monday 9 May 2016

Mausam-e-karb-e-intizar bhi jhooot

Mausam-e-karb-e-intizar bhi jhooot
Dill na manay tu vasl-e-yaar bhi jhoot

Jhoot hay sab khizaan ka khamyaza
Aks-e-rang-e-rukh-e-bahar bhi jhoot

Maut, teri talab bhi laghzash-e-lab
Zindgy , tera aitibaar bhi jhoooot

Wos'at-e-daastaan-e-shauq , ghalat
Koshash-e-harf-e-ikhtsar bhi jhoot

Khalqat-e-shehr maslihat peshaaa
Warna farman-e-shehr-e-yaar bhi jhoot

Na rasae ko rastay mushkil !
Koor chashmi ko kohsaar bhi jhoot

Door say piyar ko sarab, chanab
Ahl-e-sehra ko aabshaar bhi jhoot

Dastras ka tlism hay warna
Sa'at-e-jabr-o-ikhtiyar bhi jhoot

Perahan khon-e-dill mein tar kar lo
Warna daman-e-taar taar bhi jhoot

Sirf uss ka safar hay sach MOHSIN
Meri raah bhi mera ghubar bhi jhooot

Maqrooz E Gham E Deeda E Tar He Tera Mohsin

Maqrooz E Gham E Deeda E Tar He Tera Mohsin
Mudat Se Youhi Khak Basar He Tera Mohsin

Shayed Kisi Rasty Ki Hawa Teri Khabar De
Is Wasty Masroof E Safar He Tera Mohsin

Aye Dil Sambhal K Kisi Ko Hisab Dayna Hai

Chaman Ka Haal Tu Yeh Hai K Khaak Urti Hai
Kidhar Se Hoke Baharoon Ke Karwan Guzray

Diyar-e-YaarSara Safar Anokha Tha
Kadam Kadam Pe Naya Deyke Imtihan Guzray

Saba Bhi Aai Tu Phooloon Ke Mooh Jholas K Gai
Yahan Se Aber Bhi Barsa K Bijliyaan Guzray

Jo Chup Rahein Tu Malamat Karay Zamir Humein
Khari Khari Jo Kahein  Aap Ko Giraan Guzray

Guzarnay Ko Tu Musibat K Din Guzar Hi Gaye
Baray Hi Gehray Mager Chor Kar Nishaan Guzray

Sahi Gayin Na Tagaful Ki Chand Nazrein Bhi
Hain Sharamsar K Is Dil Main Kia Gumaan Guzray

Kabhi Tu War Raqeeboon K Day Gaye Hain Maza
Kabhi Tu Piyaar Azizoon K Bhi Giraan Guzray

Aye Dil Sambhal K Kisi Ko Hisab Dayna Hai
Ke Zindagani Ke Lamhay Kahan Kahan Guzray

Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa

Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa
Aur jab tuj say mila toot kay roya kaisa

Zindagi maiN bhi ghazal hi ka kareena rakha
Khawab dar khawab teray gham ko paroya kaisa

Ab toH chehrun pay bhi katbuo'n ka ghuman hota hai
AankhaiN pathraey hoi haiN lab-e-goya kaisa

Dekh ab qurb ka mousam bhi na sar sabz lagay
Hijar hi hijar marasim main samoya kaisa

Aik aansoo tha kay dariya-e-nidamat tha FARAZ
Dil say baibaak shanawar ko daboya kaisa

Woh jis ne diey mujhko mohabbat ke khazaaney

Aankhein bhi wohi hein tu darecha bhi wohi hai
aur soch keh aangan mein utarta bhi wohi hai

Jis ne meri jazbon ki sadaqat ko na samjha
ub meri rafaqat ko tarasta bhi wohi hai

Iss dil ke kharabey se guzar kiska hua hai
Aankhein bhi wohi, hont bhi, lehja bhi wohi hai

Jo kuch bhi kaha tha meri tanhai ne tujh se
Iss sheher ki dewaar pe likha bhi wohi hai

Woh jis ne diey mujhko mohabbat ke khazaaney
Badal ki tarhan aankh se barsa bhi wohi ha

kiyon churaatay ho dekh kar aankhain

kiyon churaatay ho dekh kar aankhain
kar chuki meray dil mein ghar aankhain

chasham-e-nargis ko dekh lain phir hum
tum dikhaa do jo ik nazar aankhain

hai dawaa unki aatish-e-rukhsaar
senktay hain iss aag par aankhain

koi aasaan hai tera deedaar
pahlay banwaaye tow bashar aankhain

jalwaah-e-yaar ki na taab huwee
Toot aayi hain kis qadar aankhain

dil ko to ghoont-ghoont kar rakhhaa
maanti hi nahi magar aankhain

na gayi taank jhaank ki aadat
liye phirtii hain dar ba dar aankhain

kyaa yeh jaadoo_bhara na thha kaajal?
surKh kar li jo paunch kar aankhain

naavak-o-neeshtar teri palkain
sihr-pardaaz-o-fitnaagar aankhain

yeh niraala hai sharm ka andaaz
baat kartay ho dhaank kar aankhain

Khaak par kiyun ho naqsh-e-paa tera
hum bichhayen zameen par aankhain

nohaagar kaun hai muqaddar par
ronay waalon mein hain magar aankhain

yehi rona hai gar shab-e-Ghum ka
phooT jaayengi taa seher aankhain

Haal-e-dil dekhna nahi aata
dil ki banwaayen chaaragar aankhain

''DaaGh'' aankhain nikaaltay hain woh
unnko de do nikaal kar aankhain

main bhool jati hoon her subah tera naam mager

kahan kahan se sameitoon shikasta khwaabon ko
ke zabt e gham ka saleeqa nahin hai aankhon ko

ajab bahaar -e- khizaan hai chaman main ab ki bahaar
hawa urraati phiri mere khushk pat'ton ko

safer abhi to zara sa kia hai tere baghair
abhi to rona buhat hai udaas aankhon ko

abhi to umer ka ye dasht paar kerna hai
charaagh kerna hai kuch be charaagh raaton ko

wo raasta bhi ajab tha wo humsafer bhi kamaal
jo mujh ko sounp gaya serphiri hawaaon ko

ke jin ko kaat dain khud mouja -e- bahaar ke haath
sajaye kon phir aisi bureedah shaakhon ko

chamakti jati hain or bheegti bhi jaati hain
huner ye kis ne sikhaya hai meri palkon ko

main bhool jati hoon her subah tera naam mager
main yaad kerti hoon her raat teri baaton ko

ey ALLAH ek zindagi amal k lye bhi naseeb ho.

ey ALLAH ek zindagi amal k lye bhi naseeb ho.

ye zindagi to nek iraadon main hi kat gai.


Teri aankhon ko parhte hain

Teri aankhon ko parhte hain

Tujhe dekha nahi karte...

Saturday 7 May 2016

Jab Bhi Kashti Meri Sailaab Me Aa Jati Hai.

Jab Bhi Kashti Meri Sailaab Me Aa Jati Hai.

Maa Dua Karti Hui Khawab Me Aa Jati Hai.

Us ne mujh se haath churaya.

Us ne mujh se haath churaya.

Jaan churaai mene bhi.